From here
by Anwar Ali Khan aka Khamakhan.
Nai bole toh sunte nai
Dekho kitta samjha’roun main
Nai bole toh sunte nai
Apni man maani tum kar’raen
Nai bole toh sunte nai
Karne ke jo kaamaan hain so
Jaise ke wai si-eech hain
Nai karne ke kaaman kar’raen
Nai bole toh sunte nai
Mo po make-up thhoppte jaa’raen
Umar ke peeche mat bhaago
Gayi jawani phir nai aati
Nai bole toh sunte nai
Unke baalan rangte rangte
Mu bhi kaala ho gaya
Bacchhe dekh ko darr ke bhaag’raen
Nai bole toh sunte nai
Baalon main chutla jode to
Banta hai sir ka jooda
Phir bhi baalaan “set” karwa’raen
Nai bole toh sunte nai
Unke baalaan “set” ho ne tak
Mere sir mein ginti ke
Hain so baalaan jhadte jaa’raen
Nai bole toh sunte nai
Charbi chaat ko duble dikhne
Ek hafte se “diet” po hain
Chalte phirte dhakliyan khaa’raen
Nai bole toh sunte nai
Mere ghar mein reh ko baataan
Amma bawa ke kar’rain
Yaan ka kha ko waan ka gaa’raen
Nai bole toh sunte nai
Dubai nai to Jidda jaa-o
Kaisa bhi yaan se nik-lo
Uth-te baith-te bheja khaa’raen
Nai bole toh sunte nai
Din bhar kaam se thhak ko aayon
Chumtiyan mat lo sone do
Suba jaldi uth nai sakta
Nai bole toh sunte nai
Pehle ghussa aata thha toh
Mu mein mu mein bolte thhe
Ab to seedha aang po aa’raen
Nai bole toh sunte nai
Gande gande picture-aan dekh’raen
Nai bole toh sunte nai
Naani ku i-story suna’raen
Nai bole toh sunte nai
Phode pe joh jam gayi khipli
Naakhun se nakko nocho
Purane zakhmaa taaze kar’raen
Nai bole toh sunte nai
Bichhu ke kate ka mantar
Yaad nai aur oopar se
Saanp ke bil mein ungliyaan kar’raen
Nai bole toh sunte nai
Jab poochha samdhi se main
Kya samdhan ummeed se hain
Sharma ko bas itta bole
Nai bole toh sunte nai
and another