Monday, August 22, 2005

Arey Sholay is now being remade.We all know who is playing Gabbar Singh.Since this is the case im sure teh dialogues would undergo a little modification

Scene: Gabbar is walking on rock playing with his...belt.

GS: (Hain)Kitne aadmi the?(hain)
A: Sardar...Do aadmi the.
GS: SAHI JAWAAB! Aap jeettein hain ek hazaar rupay.(Kaash mein un dono aadmiyon ko lock kar sakta)
.
.
.
GS : Arey o Samba! kitna inaam sarkar rakhe hain hum par?
Samba: Purey Pachas Hazaar.
GS: Sahi Jawaab.Sarkaar ne hume lock kar ne ko pure pachaas hazaar inam rakhe hain(hain)
lekin pachas hazaar kyon(hain?) jab aap jeet sakte hain umeed se dugna!
.
.
.
GS: Yahan se 50 - 50 kos door gaon mein(nahin nahin [hain!]yeh life line wala fifty fity nahin hain) jab bachcha
raat ko rota hai to maa kehti hain ki 'beta so jao nahin to gabbar uncle hot seat pe bithayega'.
.
.
.

GS: Kitni goli hai iske andar?
B: huh?
GS: Kitni goli hai?(hain?)
B : 6 sardar
GS: 6 Goli aur aadmi 3.Ab main in 3 haramzadon ko 2-2 goli maroonga
B: hain! Leking part 1 mein Gabbar ek goli hi maarta hai.
GS: yeh mera naya slogan hai(n). Umeed se dugna!

No comments: